Kafi taweel research k bad hum nay bil-akhir yeh maloom kiya hai aur is nateejay pur pohanch hi gaye k duniya k tamam masail ki judr gaaye hai.
Wesay to bohat si kism ki gayen hoti hain. Kali, peeli, neeli, laal, huri. Kher shayad huri to na hoti ho pur hum say puchnay wala kaun hai. Phir kuch gosht denay wali gayen hoti hain to kuch doodh denay wali. Kuch Amreeka main moo kurti hain to kuch Pakistan main baa. Kuch insan numa gayen hoti hain to kuch bechari Allah mian ki gayen hoti hain. Laikin hum un ki bat nahi kurnay walay. Hum bat kurnay walay hain muqaddas gaaye ki.
Acha ek taraf to hamaray Hindu bhai hain jin k liye to tamam gayen hi muqaddas hoti hain na. Chalo bhai un ki murzi beshak woh jis cheez ko poojain. Kum uz kum woh doodh to deti hain. To dusri taraf aisay bi bhai hain jo bina doodh wali gaaye ko poojtay hain. Aur un ki gayen bi makhsoos hoti hain. Aur yehi gayen asal 'muqaddas gayen' kehlati hain.
Wesay to in ki bazat e khud kayi iksam hoti hain aur un sub ki cheeda cheeda muqaddas khasoosiat hum agay arz kurtay hain pur in sub ki kuch khas khasoosiat sharif hain jo in tamam main aam hoti hain woh yeh k in k poojnay walon ka bus chalay to baki sari duniya ki gayen khatam kur dain aur sara chara apni muqaddas gaaye ko khila k dekar bi na lain. Kher kha jo gaaye rahi hai to dekar bi usi ka bunta hai is liye hum is pur zyada aitraaz nahi karain gay. Pur un ka khayal hota hai k jitnay josh o kharosh say woh apni gaaye ki pooja kurtay hain utnay josh o kharosh say koi dusra nahi kurta. Aur jitni muqaddas o khoobsurat un ki gaaye hai utni koi aur gaaye ho hi nahi sukti, Masha'Allah say. Isi liye sirf un ki gaaye kisi sawal jawab say mawara hai.
Muqaddas gaaye ki iksam ki taraf ayen to un main sub say mashoor gaaye shayad mazhabi gaaye hai. Laikin is ki bi kayi iksam hoti hain. Koi darhi wali gaaye hoti to koi choghay wali. Koi tilak wali gaaye to koi cross wali. Pur ap kya soch rahay hain bat yahin khatam ho jati hai? Soch hai ap ki. Ab darhi wali gaaye ko hi lay lijiye, ek gaaye hath bandh k khudri hoti hai to dusri hath khole k. Acha phir khas is gaaye k pujarion ki khas bat yeh hai k hur pujari bi ek gaaye hota hai. Aur yeh sub gayen khuda ki khas gayen hoti hain apni nazar main. Hamaray to yehi pallay nahi pudrta k ek khuda ki karodron khas gayen kaisay ho sukti hain jub k hur muqaddas gaaye dusri gaaye say mukhtalif hoti hai. Ya phir shayad sub k apnay apnay khuda houn gay.
Acha chalo hum tumhari bat hi maan letay hain. To hamara bi to koi khuda hai k nahi? Nahi, kyun k khuda nay duniya ki thekaydari in ki khas gaaye k hath day rakhi hai. Jo jannat aur jahanum k ticket bechti hai. Aur chunkay hum gaaye ko nahi poojtay is liye hamaray liye jahanum ka ticket muft main bheja jata hai. Woh bi bagher delivery charges. Pur yehi ager jannat ka ticket lena hota to hamain muqaddas gaaye k samnay sajday kurnay pudrtay, paon choomnay pudrtay aur chupkay say gaaye k chumchay ko 10,000 pukdranay pudrtay tub jannat milti. Susti to hai wesay. Kher to na hi hamaray pass jannat ka ticket hai aur na hi hamara khuda pay koi huq hai. Thek hai bhai. Acha han yeh batana to hum bhool hi gaye k jo aisi azeem gayen hoti hain un say mazeed gayen bi paida hoti hain jaisay mullah gaaye, padri gaaye, prohit gaaye, pundit gaaye, waghera waghera.
Muqaddas gaaye ki ek aur qisam quomi gaaye bi hoti hai. Mazhabi gaaye ki tarah is gaaye ki bi iksam hoti hain. Jin main Pakistan main sub say mashoor qisam hai fauji gaaye ki. Yeh gaaye soap aur fauji soap ko mila k un main say soap nikalnay say bunti hai. Jub k ek aur mashoor qisam ki gaaye siyasi gaaye hai. Yeh dono iksam ki gayen thodri si hoti hain aur in k pujari becharay bholay bhalay jazbati loge. Murtay bi yehi hain laikin phir akhir main gaaye ko hi sara faida utha k day detay hain. Koi in ki gaaye, khas kur fauji gaaye, pur bat karay to woh fauri taur pur ghaddar, buzdil aur darpoke sabit ho jata hai. Jo sath main haram khore aur tax chore to pedaishi hota hi hai.
Acha fauji gaaye ki to zyada iksam nahi hain kyun woh sari iksam ko apnay khas booton talay rukhti hai pur siyasi gaaye ki iksam main metro gaye, change gaye, cyclee gaye, London maendeki gaye aur Canadian darhi wali gaye waghera waghera shamil hain.
London maendeki ko jub pani say nikala jata hai to us k pujari karodron logon ka khana bund kur detay hain, Canadian darhi wali gaye ki doum pur koi paon rukhta to woh apnay pujarion ki bali lay leti hai. Change gaye pur kuch bola jaye to pujarion ki cheekhain nikal jati hain aur metro gaye aur us k pujari bus ek dusray k ser k baal ginnay main masroof reh jatay hain. Zaleel bechari Pakistani gaaye ho jati hai.
Ilawa azeen senkdron qism ki aur gayen bi hoti hain. Jaisay media gaaye, adlia gaaye, democracy gaaye, capitalism gaaye, communism gaaye, sciencee gaaye, azadi gaaye waghera waghera jin ka nam lay k un k pujari dusron ko chota, kum aqal, bewakuf, gudha aur gaaye sabit kurnay ki koshishon main din rat masroof rehtay hain aur hum bus Allah mian ki gaaye bun k dekhtay rehtay hain ya pujari bun k lagay rehtay hain.
Posted via Blogaway